Maa ka Dil Isse Badh Ke Koi Shah Bhi Komal Nahi Emotitinal Maa Song Mp3 Lyrics By:-Sonu Nigam

Maa ke Dil jaisa duniya mein koi dil nahi

Maa ka dil Maa ka dil Maa ka dil Maa ka dil

Maa ka dil Maa ka dil Maa ka dil Maa ka dil

isse badh ke koi shah bhi komal nahi

isse badh ke koi shah bhi komal nahi

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi ..2

fb_img_1497001085936.jpg

mere bhakt jano thaam ke dil suno

mere bhakt jano thaam ke dil suno

maa ke dil ki kahani sunata hu main

pida dukh ghiri aansuo se bhari

sachchi mamta ke darshan krata hu main

sachchi mamta ke darshan krata hu main

dukhiya ik naari thi bhagya ki mari thi

sukh devi tha naam par sukh na mila

uske sindoor ko bindiya ke noor ko

haye jalim mukaddar ne chhin tha liya

ek noore nazar pyara lakhte jigar

uski mamta ki chhao mein palta raha

maa ki ungli pakad chalna idhar udhaar

kabhi girta kabhi wo sambhalta raha

kabhi girta kabhi wo sambhalta raha

maa ko rahta tha dar koi lage na nazar

kala gaal pe teeka lagati thi wo

hoke bas pyar ke mircho ko waar ke

jalte chulhe mein nisdin girati thi wo

usse aankho se karti wo ojhal nahi ,,2

maa ka dil jaisa duniya mein koi nahi ..2

kapde si si ke wo aansu pi pi ke wo

apne bate pe khushiya lutati rahi..2

abla ki babasi karke fakakashi

bhookhi khud rahke usko khilati rahi

din gujarte rahe ro ro katte rahe

kabhi bachche ko gam na tha karne diya

chahe lachar thi dukh se do char thi

saya dukho ka uspe na karne diya

man mein tha hausala kal ko hoke bada

mere kadmo mein khushiya bichha dega ye

achchhe din aayenge dur gam jayenge

mere kanto ko kaliyan bana dega ye ..2

ambe maiya ke darr uska karne shukar

sath bete ke ik din jaungi main

ghr mein aaye bahu pariyo si hu b hu

maang mannat bhawani se aaungi main

door mujhse meri ab to manzil nahi ..2

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

deke mamta dular chab kar beshumar

roz roz sapne hi sapne sanjoti rahi

kabhi muh chumti usko le jhumti

chahe parde mein nisdin hi roti rahi..2

tara ke aankho jo maa ka pyara tha jo

wqkt ke sath ik din bada ho gaya

maa ke balidan ki koi kadar na rahi

buri sangat ki dal dal mein wo fas gaya

aibo se ghir gaya iss kadar gir gaya

galiyan tak tha maa ko sunane laga

mahnato ka jo dhan ek chandal ban

bahayayi se wo tha lutane laga ..2

maiya roti rahi aanhhe bharti rahi

haye socha tha kya or kya ho gaya

sapna tuta hai kyu bhagy futa hai kyu

kyu bhalaiyo ka badla bura ho gaya

chaha jo tha hua usko hasil nahi ..2

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi ..2

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

wo durachari ban ho gaya badchalan

fas gaya galat ladki ke prem jaal mein

jitna chillati maa usko samjhati maa

utna jyada wo duba tha janjaal mein ..2

roz ladki se mil uske kaheta tha dil

tujhse shadi rachane ko jee chahta

tujhe dulhan bana doli mein bitha

ghar apne le jaane ko jee chahta

tere sar ki kasam mere pyare sanam

tere bin ab to mujhse jiya jaye na

tum kaho jo karu tujhpe jaan waar du

par judai ka wish ye piya jaye na ..2

ladki ne kaha gar mujhse wafa

dil apni tu maa ke mujhe la ke de

jo tu itna kare mera wada hai ye

to mai jaungi shaan se ghar mein tere

bada aasan hai kaam mushkil nahi..2

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi ..2

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

andha ho pyar mein jhuthe aitbar mein

haye leke chhuri apne ghar aa gaya

maa ko kuchh na pata hone wala hai kya

beta dhaane ko kya hai kaher aa gaya..2

maa ne roz ki tarah khana lake diya

aur sau sau duyaaye bhi dane lagi

laal samjho mere sadke jaaun tere

sachchi mamta balayen thi lene lagi

bata shaitan tha hua haiwan tha

jhuthi ulfat maa ki khusi jal gayi

janam jisne diya dudh jiska piya

uske dil pe hi uski chhuri chal gayi..2

khoon maa ka piyo beta jug jug jiyo

teri harkat se mata ka mann khil gaya

marte marte yahi maa ne aawaj di

meri mamta ka mujhko sila mil gaya

apne katil ko samjhe ko katil nahi ..2

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi ..2

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

behaya berahem karke aisa karam

bhaga ladki ke ghar tha chala ja raha

jo tha vada kiya vo nibha hai diya

apni makkari par tha vo itra raha ..2

chalte chalte tabhi usko thokar lagi

aur dharti pe muh ke vo bal gir gaya

hatho se fisal gaya maa ka vo dil

itna maa ki duaao ka fal gir gaya

bola mata ka dil mere laal sambhal

koi teri wafa mein khont to nahi

tera hoye re bhala mujhe sach sach bata

kahi tujhlo lagi koi chont to nahi ..2

mere dil ko utha dil ko dil se laga

iss dil mein bada pyar tere liye

dil hardam mera deta dil se dua

dil ye kurbaan sau baar tere liye

maa rahem dil hai tujh jaisi sangh dil nahi

maa rahem dil hai tujh jaisi sangh dil nahi

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi..2

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

leke thoda sa dam beakal besharam

dil maa ka utha ke chala vo gaya

khoonkhar vo pashu dal maa ka lahu

karna raushan vo chahe wafa ka diya

karna raushan vo chahe wafa ka diya

premika ke vo ghar fakr se pahuchkar

bola maa ka ye dil main laya meri jaan

iss jahan mein kahi koi mujhsa nahi

pass kar liya maine ye imtehaan

pagalpan dekhkar boli vo chikh kar

are vaheshi darinde ye kya kar diya

dharti fat jayegi pralay aa jayegi

tune mamta ko jag mein tabah kar diya ..2

tere jaise agar hue or bhi bashar

maa beto ko janam na degi kabhi

rona aata mujhe laakh laanat tujhe

mere ghar se o jalim nikal ja abhi

tu mere pyar ke ab to kabil nahi

tu mere pyar ke ab to kabil nahi

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi ..2

maa ka dil maa ka dil maa ka dil

uski fatkar se laanato ki maar se

sar pit ke kalanki vo rone laga

maine kya kar diya khoon ma ka kiya

apne kiye pe sharam saar hone laga

apne kiye pe sharam saar hone laga

maa ka dil dekh kar mathe ko tek kar

bola hey janani maiya mujhe maaf kar

main hu papi bada jhuka sar hai khada

ho sake to ye chola mera saar kar

ab main jaaun kaha muh chhupau kaha

maine khud ko gunaho mein kark kr liya

tu to nirdosh maa tune kuchh na kiya

maine jivan ye apna narak kar ..2

jo kiya soch kar balo ko noch kar

vo jami pe tha sar ko patakne laga

log dhikkarte patthar bhi maarte

vo pagal ho dar dar bhatakne laga

sabhi kahte ye maafi ke kabil nahi

sabhi kahte ye maafi ke kabil nahi

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi..2

maa ka dil maa dil maa ka dil

bediyo mein jakad pulis le gayi pakad

maut samne khadi dekh kar vo dar gaya

khauf itna badha jo vo sah na saka

pagal khane mein ro ro ke vo mar gaya ..2

maa ke bhakto suno isse kuchh sabak lo

dil bhule se maa ka dukhana nahi

ye samajh lo sabhi maa neaah jo bhari

lok parlok kahi bhi thikana nahi

ambe maa ke bhawan peechhe rakhna kadam

pahle ghar baithi maa ke charan chum lo

uska aashish le mamta chunari tale

sachchi jannat ke karke darash jhum lo..2

ghar mein bhookhi hai maa bahar langar laga

aisa insa kabhi bakshe jate nahi

maa ko pida se bhar jake daati ke ghar

shero wali ka vo pyar pate nahi

maa sa nirdosh guru koi kamil nahi..2

maa ke dil jaisa duniya mein koi dil nahi

maa ka dil maa ka dil maa ka dil